tu hai ek tanbe ka thaal jo suraj ki garmi mein sara sal tape koi halka nila baadal jab us par bunden barsae ek chhanaka ho aur bunden baadal ko ud jaen tanba jalta rahe wo hai ek bijli ka tar jis ke andar tez aur aatishnak ek barqi-rau daude jo bhi us ke pas se guzre us ki jaanib khinchta jae us ke sath chimat ke maut ke jhule jhule barqi-rau waisi hi surat aur tezi se daudti jae main hon barg-e-shajar suraj chamke main us ki kirnon ko apne rup mein dhaarun baadal barse main us ki bunden apni rag rag mein utarun baad chale main us ki lahron ko naghmon mein dhaalun aur khizan aae to us ke munh mein apna ras tapka kar ped se utrun dharti mein mudgham ho jaun dharti jab mujh ko ugle to pauda ban kar phutun