juli kitni bholi thi jab us ne izhaar kiya tha apne andar ki khwahish ka is chhote se shahr ke sare logon ne us par thuka tha charch ke father ne us ko injil-e-muqaddas ke warqon se padh ke sunaya aurat nasl-e-insani ki khatir duniya mein aai hai us ke andar ki khwahish to ek gunah hai ye to kafi sal purana qissa hai ab juli to bahut bade ek shahr ke andar aali-shan makan mein rahti hai kabhi-kabhaar use jab is chhote qasbe ki yaad satati hai to kisi bhi qabristan mein ja kar an-jaani qabron pe phul chadha kar ghar ko wapas aa jati hai