apna ghar

ghar ki sari chizon ko
be-rukhi se yun dekha

jaise ek talluq ho
phir na jaane kya socha

ehtiyat se tange
paenche iradon ke

ishtiyaq se ulti
aastin himmat ki

ek ek goshe se
odhni ke pallu ne

gard-e-ghairiyat jhadi
tham kar har ek shai ko

apni aankh se dekha
apni soch se chhu kar

apne hath se rakkha
sara ghar chamak utha

sara ghar laga apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close