hairat hai

aurten jins to nahin hotin
jin ko bazar mein khada kar do

apne har ek gunah ke badle
in ko tawan mein ada kar do

apne kirdar ki girawat ko
aise chehron pe tum sajate ho

apni tahzib ka hasin chehra
kis tarah maskh karte jate ho

apni man bahn aur beti ka
jis tarah mas noch khate ho

aise be-his tamash-binon ki
aankh ki raushni pe hairat hai

aisi ghairat ke nam par nangi
nachti zindagi pe hairat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close