main tadapta hun main bahut tadapta hun ki wahan laut jaun jahan se meri umr shurua hui thi jahan mere din raat meri mitti ki mahak se mahakte the zamin bhar ki dhup mein se mere hisse ki dhup mere rome rome ko senkti thi sitaron bhare aasman mein se mere nam ka sitara badan ki agni ban ke mere hisse ki dulhan ko nadi ke pani se bani hui sej pe utarta tha aur an-dekhi tah mein tairti machhliyon ki sans ko sangit kar deta tha raat mein chhupe hue din ko aur din mein chhupi hui raat ko ek dusre ke pas la ke khud kahin chhup jata tha phir jhag se jhag nikalta tha aur jhag se an-ginat murtiyan banti thin tab unhen pujne ki tijarat ijad nahin hui thi tab aag hari ghas ko nahin jalati thi siwae is ke ki panw par rengti hui chyunti hath ki pakad mein aa jati thi kaenat bhar ki bhuk aur pyas ki sinchai karte hue kisan aur khudai karte hue mazdur abhi khet aur fasl aur kachche pakke ghar aur diwaron aur jiwan maran aur shamshan bhum aur qabron se pahchane to jate the abhi bazaron mein ghumte phirte nange pagalon aur un ke hisse ki galiyon aur pattharon ki pahchan se zindagi ki pahchan to hoti thi abhi raat ke safar mein kisi an-dekhe jahan se meri duniya ke jangalon mein utarte jugnuon ke jhund chahak chahak ke sudhaari hui ruhon ka ata pata batate the afsos ab main wahan lautna chahun bhi to khud par itna guzar chuka hun ki laut nahin sakta