agar mere sine mein khanjar utaro to ye soch lena hawa ka koi jism hota nahin hai hawa to rawani hai umron ke bahte samundar ki lambi kahani hai aaghaz jis ka na anjam jis ka agar mere sine mein khanjar utaro to ye soch lena hawa maut se mawara hai hawa man ke hathon ki thapki hua loriyon ki sada hai hawa nanhe bachchon ke honton se nikli dua hai