is tarah ki baaton mein ehtiyat karte hain

zindagi ki rahon mein
barha ye dekha hai

sirf sun nahin rakkha
khud bhi aazmaya hai

tajrabon se sabit hai
jo bhi padhte aae hain

us ko thik paya hai
is tarah ki baaton se

manzilon se pahle hi
sath chhut jate hain

log ruth jate hain
ye tumhein bata dun main

chahaton ke rishte mein
phir girah nahin lagti

lag bhi jae to us mein
wo kashish nahin hoti

ek phika phika sa
rabta to hota hai

tazgi nahin rahti
ruh ke talluq mein

zindagi nahin rahti
baat wo nahin banti

dosti nahin rahti
lakh bar mil kar bhi

dil kabhi nahin milte
zehn ke jharokhon mein

yaad ke darichon mein
titliyon ke rangon ke

phul phir nahin khilte
is liye main kahta hun

is tarah ki baaton mein
ehtiyat karte hain

is tarah ki baaton se
ijtinab karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close