chalne do yunhi qafla-e-gham ko zara der tum us ki rawani mein rukawat to na dalo tham jao mere zehn ke be-kar sawalo sau bar hui waqt ke hathon se hamein mat ginta rahe ab kaun zamane ki futuhat lekin tumhein ek raaz batate hain suno tum duniya hamein ab mashq-e-sitam lakh banae hum uzr-o-wazahat se hain aage nikal aae