nanha sayyah

main hun ek nanha sayyah
main hun ek nanha sayyah

kashti le kar langar le kar
kashti bich samundar le kar

main ghumunga duniya duniya
london paris qustuntuniya

sair karunga dhire dhire
main dhundunga nae jazire

main hun ek nanha sayyah
main hun ek nanha sayyah

mujh mein hai kafi bal buta
main hun nanha ibn-e-batuta

main pakistani albela
wasco da gama ka chela

america ki sair karunga
africa ki sair karunga

main hun ek nanha sayyah
main hun ek nanha sayyah

dhundunga wo khitta koi
nam nahin hai jis ka koi

sakht wahan ke saude honge
ghode jaise paude honge

raqs karunga un yaron mein
rahte honge jo ghaaron mein

main hun ek nanha sayyah
main hun ek nanha sayyah

likkhunga main nil ke qisse
baaten karti chil ke qisse

congo aur katanga ja kar
jangal jangal patte kha kar

nile patthar le aaunga
pariyon ke par le aaunga

main hun ek nanha sayyah
main hun ek nanha sayyah

rocket par jaana hai mujh ko
chand nagar jaana hai mujh ko

utregi jab chand pe gadi
chaal chalunga aadi aadi

chand ki mitti bhar launga
chand ke patthar launga

main hun ek nanha sayyah
main hun ek nanha sayyah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close