bhale hi bad-numa hun main bahut hi bad-numa hun main mere chehre pa la-ta'dad dhabbe hain meri rangat bahut kali bahut kali main ban-manus sa dikhta hun magar phir bhi main apni man ki nazron mein mah-e-kaamil ke jaisa hun main apne bap ki aankhon ka tara hun main apne nana nani ka dulara hun mera dada mujhe shahzad kahta hai meri dadi mujhe mahtab kahti hai meri phuppo mere didar ko betab rahti hai meri khala mujhe apne pisar se kam nahin rakhti mere chachu ko behad pyar hai mujh se mere mamun ko duniya mein koi mujh sa nahin lagta meri bahnen mere bhai wo mujh par naz karte hain aur in sab logon se badh kar wo hasti hai ki sattar maon se badh kar jise mujh se mohabbat hai to achchha tha meri surat pe koi tabsira karne se pahle tum inhen bhi dhyan mein rakhte bahut hassas dil hai jin ke sine mein jinhen main jaan se pyara hun khuda ka khauf to karte ki sattar maon se badh kar wo mujh se pyar karta hai