mujhe hosh sanbhaalte hi samjha diya gaya tha ki murti agar hoti hai to puja lazmi ho jati hai murti bina puje hue rah hi nahin pati hai murti ka hona hi parman hai puja ka barson se apne ganw ke shiwale mein mahadew ko pujte hue dekha bap-dada se mili sanatani aastha ki aankh ne yahi pahchana aur pujna un ka pujna apna dharm mana nahin jaana ki puja mein parashn ka koi asthan nahin hota lekin ek din jaane kya hua mere andar ke aadmi ka koi aur pahlu jag gaya sanatani aastha de gai dagha man ud kar jaane kahan bhag gaya sochne laga ki agar mere donon hath achanak kat jaen to kya hoga jaanta hun ki puja bas puja hoti hai khandit wajud ki ho ya pure ki ye nishche hi hogi qubul lekin ise aap chahe manen meri bhul ye zarur puchh lena chahunga murti se ki kya mahsus hota hai dekh kar mere kate hue hathon mein puja ke phul