apni pahchan

danishwari sari aqlon ka ishtihaar ek taraf aur
jazbon ka bazar ek taraf

logon ko pahchanne un ko jaanne ke liye kya ab
academy qaem hogi

hum
sab ko achchha kahne wale log

hamari apni pahchan jaane kis ke hawale se hogi
hamari zard chehron se

aur hairan aankhon se ki tamasha hamari aankhon ke samne sadme ki
tarah ho raha hai

aur hum kuchh kah nahin sakte
suno ye man-made society hai

jo tumhaare mardon ke ahkaam hain un par chalo
ek mard tumhein zinda dafn karna chahta hai

ek tumhein aasman ki bulandiyon tak le jaana chahta hai
ek tumhein aazad dekhna chahta hai

ek tumhein sidha rasta dikhana chahta hai
ek tumhein apni mohabbat se maghlub karna chahta hai

waise bhi ghulam aaqa ki baat ko tal nahin sakta
wo tum se mohabbat karta hai tumhaari izzat nahin kar sakta

izzat sanbhaalna hai to ghar mein baitho
mard ke samne auraton ki aazadi ki taqriren karne ke baad

jab tum us ke jazbe mein bandhogi
to tum ek aur ghulami ek aur zillat mein jakad di jaogi

tumhaari pahchan kis hawale hogi
ghulam aur aaqa ke hawale se

bas phadphadate raho bebas panchhi ki tarah
ki jis ko parwaz ki rah dikha kar

par kat diye gae hon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close