gae zamanon ki gardishon ko main aankh ki putliyon mein rakkhun main kab talak hone aur na hone ke darmiyan ki aziyyaton ki kharash apne badan pe dekhun main kis liye baam par sajaun kunwari sharmili dhadkanen ab main kaise apne labon ki khushbu ka bar le kar sanobaron ka saman banaun main kis liye radha ban ke nachun to sham murli ke git gaun kahan ka sawan kahan ki chatri kahan ke dohe kahan ki purwa main sat rangon ko kis pe phenkun main majlison mein kis hasin ke nauhe gaun main mausamon ke suragh le kar haqiqaton ko kahan tak shairi mein dhaalun mere azizo safar hai thoda to rog zyaada bala se koi na aae ab intizar muk gaya hai hawaen kal ki kahaniyon ko saja rahi hain main tez-tar aur jadid ohdon mein ji rahi hun main aaj hun aur aaj ban ke bikhar rahi hun har ek samt mera hai kalima do or die