apni pahchan

hathi dekh ke chyunti boli kitna hai be-daul badan
chuhe ne bhi unt ki lambai ko samjha pagal-pan

gajar shaljam aur muli ne kaha ki chaupat hai baingan
dusron ke bare mein yun to sab kuchh kahna hai aasan

sab se ziyaada mushkil hai duniya mein khud apni pahchan
kela aur amrud ye bole aam to hai garmi ka phal

tauba tauba ho jaenge hum is mausam mein pagal
lichi boli dekho kitna be-dhanga sa hai kathal

is ko khane wala hoga aisa hi koi nadan
sab se ziyaada mushkil hai duniya mein khud apni pahchan

jin ki sifat hai aage badhna rahte wo khamosh
karte hain wo baat wazn ki nahin dikhate josh

rakhte hain jazbaat pe qabu khote nahin wo hosh
nahin chalate udte baadal par lafzon ke tir-o-kaman

sab se ziyaada mushkil hai duniya mein khud apni pahchan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close