'rubi' ka halwa kis ne churaya ammi ne puchha abbu ne puchha dadi ye bolin 'rubi' ka halwa dekha tha main ne mez pe rakkha aakhir aai meri hi shamat rozi ne mujh ko khate tha dekha abbu ne kar di meri pitai chune mein kattha kis ne milaya dadi ne puchha ammi se ja kar dada ye bole uf meri ainak kis ne uthai rakh di kahan par aakhir aai meri hi shamat ainak jo tuti phuta muqaddar ammi ne kar di meri pitai jute ki polish dibiya bhari thi lekin hai us mein kaisi ye dori bhabhi ne puchha polish hui kya 'rubi' ne batla di meri ye chori aakhir aai meri hi shamat zaea hui sab sina-zori bhayya ne kar di meri pitai phadi ye kis ne rufi ki copy teacher ne puchha maktab mein sab se sab ne nahin ki lekin main chup tha kuchh bhi na bola pas-e-adab se is pe bhi aai meri hi shamat bach na saka main josh-e-ghazab se teacher ne kar di meri pitai kat di kis ne gend rubber ki achchhi nahin hai aisi shararat baithe hue hain sare khiladi pahunchi hai sab ke dil ko aziyyat chaqu jo nikla jeb se meri aa gai phir meri hi shamat yaron ne kar di meri pitai