mere ghar ke samne raat ki gadi ka ek pahiya nikal gaya mera beta us pahiye se khelta hai gadi ko lene koi nahin aaya us din se mere ghar mein akhbar nahin aaya dudh nahin aaya parinda nahin aaya us din ke baad main ne apni nazm mein koi shikar nahin khela main apni nazm ke andar khamosh ho gaya aur meri nazm aahista aahista mere liye pinjra ban gai raat ki gadi ko lene koi nahin aaya unhon ne jaan-bujh ke aisa kiya hai wo mere dil mein bachi-khuchi chizon ko shikar karna chahte hain shayad wo naqsha churana chahte hain kuchh log raat ki gadi se niche utre mere anaj ke kamre aur meri nazmon ki talashi li apni hifazat ke liye kuchh hathiyar main ne in nazmon mein chhupa rakkhe the ab mere pas chand dare hue lafzon aur chhan-bure ke siwa kuchh nahin unhon ne mere bete ki kitaben chhin lin aur apni likhi hui kitaben de din aur kaha hum tumhaare hi ghar mein tumhaari nazmon ke liye ek mukhbir tayyar karna chahte hain raat ki gadi ka pahiya mujhe apne sine mein utarta hua mahsus hua mere ghar ki har shai pahiye mein badal gai hatta ki meri baaten bhi pahiya ban gain aur phir ye pahiya meri tarikh ban jaega is tarikh se bahut sare bachche paida honge wo raat ki is gadi ko khinchenge lekin us waqt tak raat apni jaden chhod chuki hogi