chak-pheri

bachpan ki galiyon mein jin jin gharon ke shishe meri gend se tute the
un sab ki kirchen kabhi kabhi meri aankhon mein chubhne lagti hain

jalti dopahron mein mere hathon ujde hue ghonslon ke behaal parindon ki
chikhen fariyaaden meri be-ghar shamon mein kohram machati rahti hain

chaknachur dinon reza reza raaton mein soe hue sab khwab jagati rahti hain
apne khanjar apne hi sine mein utarne lagte hain

zinda chehre jalte bujhte lamhon ki aaghosh mein marne lagte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close