gae barson ek hasil kya! faqat ek mom-batti tin-sau-painsath dinon mein cake ke zine pe chadhti hai zara si phunk par ham-rahiyon ke sath bujhti hai dhuan chakra ke roshan-dan se bahar nikalta hai chhuri ki dhaar se kitne baras katun! hawa ka aashna chehra meri aankhon mein rahta hai gae lamhon ko dohraati hawa tarz-e-mohabbat hai wo aae to nae lamhon ki rassi tham kar chal dun kahin andar ruki phunken labon tak aaen to ye battiyan gul hon abhi kal ke dariche khul nahin pae manazir dhund mein hain aansuon se dhul nahin pae