mujhe malum hai ki kuchh na badlega na shakh-e-hijr par aasar aaenge khizaon ke khayalon ke samundar mein na kuchh tabdili aaegi na kirdaron ke roz o shab mein koi farq aaega magar in nazmon ghazlon ki kahani aur giton ki aati jati lahron se ye mera khushk sahil sairab to hota rahe mujh ko mere hone ka ehsas to hota rahe