kahan gaya wo zamana ki jis ki yaad mein aaj bhulae baitha hun khud ko pata nahin milta gai kahan hai wo ab suraten mohabbat ki zamane bhar mein kahin naqsh-e-pa nahin milta main puchhun kis se pata aur kahan kahan dhundun wahan ka koi bhi aaya gaya nahin milta wo aspatal ki shab bhi thi kya qayamat ki wahan qafas se jo tair uda nahin milta nahif bazu the mere liye hisar-e-aman maza kahin bhi us aaghosh ka nahin milta wo bujhti aankhen thi mere liye charagh-e-hayat nigah-e-mehr ka ab wo diya nahin milta tamiz kaise karun rahzan-o-rafiq mein ab rah-e-hayat ka wo rahnuma nahin milta bas ek dam se wo badli hawa zamane ki ki shaikh milte hain dil ba-safa nahin milta bala ka shor hai ulfat ke mai-kade mein magar sharab milti hai lekin nasha nahin milta hui hai ruh wo ab jazb-e-ruh-e-pak-e-azim mila jo zat mein us ki juda nahin milta wo goya abr ka saya tha le udi jo hawa bikhar ke phul ka jaise pata nahin milta wo ek naghma tha gum ho gaya fazaon mein ki jaise bahr mein qatra gira nahin milta talash un ki yahan hai 'habib' la-hasil ki chashm-e-tar se jo aansu gira nahin milta