yun aae hain ghir ghir ke ye dukh-dard ke baadal tarik fazaon mein ghula jaise ho kajal bechain hain be-tab hain be-as hain bekal lahra de zara aa ke tu ummid ka aanchal ai baad-e-saba baad-e-saba baad-e-saba chal gulshan mein na wo rang na wo rup raha hai ghunche ki na ab aankh mein wo kaif bhara hai kab phul ke sine mein dhadakne ki sada hai sannata sa sannata hai harakat hai na halchal ai baad-e-saba baad-e-saba baad-e-saba chal kanton se hai sad-chaak har ek gul ka gareban har samt se hai bijliyon ki zad mein gulistan soya hai abhi tan ke chaukhat pe nigahban dasti hai sawere ko siyah-raat har ek pal ai baad-e-saba baad-e-saba baad-e-saba chal tu aae to gulshan ka hasin chehra nikhar jae har ghuncha mahak jae har ek patta sanwar jae kumhlae se phulon ka bhi kuchh haal sudhar jae baqi rahe qismat mein koi kham na koi bal ai baad-e-saba baad-e-saba baad-e-saba chal tu aae to phir kaif-o-masarrat ki faza aae is khak mein jine ka aur marne ka maza aae sinon mein umang utthe to phir josh naya aae aur raat ke chehre pe dhalak jae phir aanchal ai baad-e-saba baad-e-saba baad-e-saba chal aa ja ki zara shaghl-e-mai-o-jam karenge kuchh tazkira-e-yar-e-dil-aram karenge rangin har ek subh har ek sham karenge aur naghme sunenge hasin-o-shokh aur chanchal ai baad-e-saba baad-e-saba baad-e-saba chal ai baad-e-saba chal