main apne ghao gin raha hun dur titliyon ke reshmi paron ke nile pile rang ud rahe hain har taraf farishte aasman se utar rahe hain saf-ba-saf main apne ghao gin raha hun aansuon ki os mein naha ke bhule-bisre khwab aa gae khun ka dabao aur kam hua nahif jism par kisi ke nakhunon ke aade-tirchhe naqsh jagmaga uthe labon pe luknaton ki barf jam gai tawil hichkiyon ka ek silsila faza mein hai lahu ki bu hawa mein hai