tera koi din nahin tera koi rup nahin abu-suifyan ki hinda is rang-manch mein teri koi jagah nahin ajdad ke intiqam mein tu kahan hai naslon ki khun-asham jang mein tu jalti rahi kaleja chabane se husain ka khun bahane tak zamin-o-asman tujhe malamat karte rahe bad-bakht-o-shikast-khurda hinda bint-e-atba tera qabila teri wahshat se pahchana gaya tera pagal-pan teri wajh-e-shohrat hai kisi faisle kisi rae mein tera koi hawala nahin tujhe wahshi banane wale tere adh mare aslaf teri kokh zahr-alud kar ke tujhe be wajud kar ke zamin par musallat rahe aaseb ban kar bad-bakht hinda jo itna shuur tujhe hota to samajh pati jabri nizam raij karne ke liye har bar kokh barbaad ki gai