hamein bataya gaya hai sard qahqahon ke aahani jumud se shumali mirrikh par nae sahil banae jaenge nsibatan kam sanjida ladkiyan hamari mahbubaen nahin ban saktin alberta ke landscape mein windmills ke chakraate sae tulips ki aankhon se barf hataenge ibaadat-gah ki diwaron par kanda khuda ke farman par phul rakhne ke ewaz wo hum se bad-zan nahin hoga daffodils ke hath accordion bajaenge jin se phutti thaki haari mausiqiyat street light ki budhi raushni tan kar so jaegi washington d-c mein cheri ke darakhton par nae sal ke khwab ugae jaenge sagano ke sabz banson se wailen ke tar banae jaenge jin par red indian maon ke sinon se pighalti nili bad-duaen bajai jaengi jawan-marg hasinaon ki gol siskiyan shikasta piano ki daradon se murda giton ke fingerprints udhed lengi zang-alud khidki ke maile shishon se kanpti ungliyon ki nuqrai uljhanen adhuri nazmon ke lashe khurach lengi is se pahle ki hum khauf-zada hon hum se pahle takhliq ki jaane wali hamari mahbubaon ke jismani irtiqa se jism honton par taqsim kiye jaenge barf-zada parinde hamein dekh paenge hamare gunah muqaddas hain anjaan doshiza ki farmaish par likhe gae nowel ki tarah