budhi raushni ke pile nakhun wo nile khun ke sath nigal gai raat bhar gham ki kali chandni us ke nathnon mein jami kokin ki safedi chatti rahi aur chamde ke danton se wo wahshat ka badan katti rahi barf ki ranon se uthti kachchi rutubat zakhmi tanhai ke bad-surat khuda se marmarin aziyyat mangti thi pital ke ashtray mein pade honton ki hiddat se uble murda sanson mein lipte cigarette jin se bahti hui welweti badbu rakh ke surmai lashon par bain karti jis ki aankhon se nikalti kanch ki thakan ram ki botalon mein ungliyan chubhoti tute hue andhere ki chadar par so gain sadiyon ki mari hui silwaten aur un se phutti wahshat ki shokh kirnen chikhti kursi ki pusht se chipke kasni ragon mein uljhe himeros ke portrait ko lams aalud karti rahin