farogh-e-shadabi-e-chaman ko mahakti mitti se phut nikla hai narm sabza haris-e-takhliq nam zamin ne gulon se daman udas belon ke bhar diye hain ajib rut hai! ki budhi shakhon mein sans leta hai sabz jauban khayalon, khwabon ki rahguzar par chatak rahi hain hazar kaliyan nigah-e-dil ke gazida goshe rahin-e-nikhat faza ki poron mein jag utthi hai bhini khushbu, hawa ke hathon mein raushni ke jadaw kangan hawa ke pairon mein raqs karne lage hain ghungru parinde rangin sham odhe shafaq ki surkhi se khelte hain damakte pani mein ghusl karte hain chand tare nahati kaliyon ki be-libasi ko kitni hairat se dekhta hai nafis patton ki shaal odhe ghanera jangal gulab ke surkh pairahan par, safed phulon ki pattiyon par! samaat-e-shab mein sabt karti hai os yun jal-tarang naghme ki git wo jo azal se be-kal faza mein gum the utarne lagte hain dhadkanon ki hasin lai par, mohabbaton ke amin ban kar milan ki aisi sabih rut mein husn deta aap dastak tumhaare dar par