ek raqqasa thi kis kis se ishaare karti aankhen pathrai adaon mein tawazun na raha dagmagai to sab atraf se aawaz aai fan ke is auj pe ek tere siwa kaun gaya farsh-e-marmar pe giri gir ke uthi uth ke jhuki khushk honton pe zaban pher ke pani manga ok uthai to tamashai sambhal kar bole raqs ka ye bhi ek andaz hai allah allah hath phaile hi rahe sil gai honton se zaban ek raqqas kisi samt se nagah badha! parda sarka to man fan ke pujari garje raqs kyun khatm hua? waqt abhi baqi tha