aaj unhon ne ailan kar hi diya dekho! hum ne tumhaari sab ki sab quwwaton ka faisla kiya tha qil-o-qal ki gunjaish baqi nahin hai tumhaare iqrar-name hamare pas mahfuz hain tum se pahle walon ki khata yahi thi ki unhen, apni naf ke niche sarsarahat ka ehsas kuchh ziyaada hi ho chala tha unhen shahr-badar kar diya gaya un ke pachhtawe aur gidgidahaten aaj bhi hamare kanon mein mahfuz hain tumhein itni chhut di hi kyun jae ki tum kal hamare muqable par utar aao hum tumhein hoshiyar kiye dete hain diwaren phalangne wale itab se bach nahin sakte aqd-namon par tumhaare dastakhat tumhaari na-muradi ka khula e'tiraf hain is ke baghair hamari haram-sara mein dakhil hone ke ijazat-name tumhein mil bhi kaise sakte the is se pahle ki hamare najibut-tarafain shajre mashkuk ho jaen aur hamare hasab-nasab par aanch aa jae ham! tum se pahle gulu-khalasi ka rasta dhund nikalenge!!