danish-war kahlane walo tum kya samjho mubham chizen kya hoti hain thal ke registan mein rahne wale logo tum kya jaano sawan kya hai apne badan ko raat mein andhi tariki se din mein khud apne hathon se dhanpne walo uryan logo tum kya jaano choli kya hai daman kya hai shahr-badar ho jaane walo futpathon par sone walo tum kya samjho chhat kya hai diwaren kya hain aangan kya hai ek ladki ka khizan-rasida bazu thame nabz ke upar hath jamae ek sada par kan lagae dhadkan sansen ginne walo tum kya jaano mubham chizen kya hoti hain dhadkan kya hai jiwan kya hai sattarah-number ke bistar par apni qaid ka lamha lamha ginne wali ye ladki jo barson ki bimar nazar aati hai tum ko sola sal ki ek bewa hai hanste hanste ro padti hai andar tak se bhig chuki hai jaan chuki hai sawan kya hai is se puchho kanch ka bartan kya hota hai is se puchho mubham chizen kya hoti hain suna aangan tanha jiwan kya hota hai