apne mazi ke ghane jangal se kaun niklega! kahan niklega be-karan raat sitare nabud chand ubhra hai? kahan ubhra hai? ek fasana hai tajalli ki numud kitne gunjaan hain ashjar-e-buland kitna mauhum hai aadam ka wajud muzmahil chaal qadam bojhal se apne mazi ke ghane jangal se mujh ko sujhi hai nai rah-e-farar aahan o sang o sharar barsaen aao ashjar ki buniyaadon par tesha o tegh-o-tabar barsaen ek tasalsul se hum apni choten be-khatar bar-e-digar barsaen zehn par chhae hain kyun baadal se apne mazi ke ghane jangal se nau-e-insan ko nikalna hoga in andheron ko nigalna hoga