dost mayus na ho silsile bante bigadte hi rahe hain akasr teri palkon pe ye ashkon ke sitare kaise tujh ko gham hai teri mahbub tujhe mil na saki aur jo zist tarashi thi tere khwabon ne jab padi chot haqaeq ki to wo tut gai tujh ko malum hai main ne bhi mohabbat ki thi aur anjam-e-mohabbat bhi hai malum tujhe tujh se pahle bhi bujhe hain yahan lakhon hi charagh teri nakaami nai baat nahin dost mere kis ne pai hai gham-e-zist ki talkhi se najat chaar-o-na-chaar ye zahrab sabhi pite hain jaan luta dene ke farsuda fasanon pe na ja kaun marta hai mohabbat mein sabhi jite hain waqt har zakhm ko har gham ko mita deta hai waqt ke sath ye sadma bhi guzar jaega aur ye baaten jo dohrai hain main ne is waqt tu bhi ek roz inhi baaton ko dohraega dost mayus na ho! silsile bante bigadte hi rahe hain akasr