teri narm lahron pe rakkhe diye apne baqi ke hamrah gum ho chuke hain duaon, tamannaon, khwabon ka mausam aziyyat ke kichad mein luthda pada hai khaton ke lifafe huruf o mani ke rangon se khali pade hain kinaron se dali gai darakht ki surkh-ru sazishi pattiyan raston ke nishan kho chuki hain magar agle din ke hasin khwab arize ki dali abhi tak kahin kanpti hai