taliyon ki gunj zail ho chuki haal khali ho chuka dad ke bakse ulat kar chal diye log meri chikhti nazmon ki boli de chuke main jama tafriq ki mad mein bina tartib sanson ki ghutan se chur hun kash dharti aasman ki wusaton ko jaanti khwab mein pinhan haqiqat ko haqiqat manti han magar in dastanon ka sikandar kaun hai kaun hai uftadgi ki saaton ka ham-nawa kaun hai tafhim ki tishna-labi ka raazdan kaun hai koi nahin wo jo aae the wo aa kar ja chuke