wade ki zamin nahin aai wo uncha shaikh jo sab nazron mein ghira hua hai be-parwa masum atal wo gahra sagar jis ki thah mein apne siwa koi bhi nahin wade ki zamin nahin aai naumidi pathra de na kahin betabi jhulsa de na kahin kho jae na khudi khoj ka ghayal panchhi udan ke sath andhiyari ghati mein hum hain to yahi ghanimat hai hum hain to zinda hai wadon ka ugam maujon ke baad ubalti maujon ka dhaara jo faramoshi ke registan mein bahta hai us ki rahen pahle hi se muqarrar hain aur un se hat kar koi rah nahin sangin sach ki pathrili zaminon mein armanon ka zarrin kohra bikharta sach ke soton se phutta rangin jhut albele nidar sapnon ka bahta gata jal us mod pe apni manzil se bhi fuzun-tar hai phir apna dosh hi kya ifa ke suraj pighal jate hain wadon ki lali mein ghul-mil jate hain hangam-e-tulu-o-ghurub se dur din badhta hai na raat guzarti hai bahte hain ujale shokh rasile aur madmate dhundalke jaise basant wade an-ginat khila karte hain phulon mein chamka karte hain sitaron mein dhadkanon mein sanson mein ek saman suhana chhaya rahta hai dharti se aakash ke beach dil se aankhon tak azal abad ki wusat mein