kuchh de ise rukhsat kar kyun aankh jhuka li hai han dar pe tere maula! 'insha' bhi sawali hai is baat pe kyun is ki itna bhi hijab aae fariyaad se be-bahra kashkol se khali hai shaer hai to adna hai, aashiq hai to ruswa hai kis baat mein achchha hai kis wasf mein aali hai kis din ka murshid hai, kis kesh ka mojid hai kis shahr ka shahna hai kis des ka wali hai? tazim ko uthte hain is waste dil wale hazrat ne mashikhat ki ek tarah nikali hai aawara o sargardan kafani-ba-gulu-pechan daman bhi durida hai guddi bhi sambhaali hai aawara hai rahon mein, duniya ki nigahon mein izzat bhi mita li hai tamkin bhi ganwa li hai aadab se begana, dar aaya hai diwana ne hath mein tohfa hai, ne sath mein dali hai bakhshish mein tammul hai aur aankh jhuka li hai kuchh dar pe tere maula, ye baat nirali hai 'insha' ko bhi rukhsat kar, 'insha' ko bhi kuchh de de 'insha' se hazaron hain, 'insha' bhi sawali hai