asfal-us-safilin

By nahid-akhtar-baloochJune 30, 2021
hamare samne hamara rab maujud hai
magar hum apne apne maslak ki
dedh dedh int wali masjidon mein
khwahishon ke but


apni apni baghlon mein dabae khade hain
aur har bar in buton ko sajda karte hue
hamara yaqin masjid ke minaron ko chhu leta hai
ki jannat mein bahti shahd aur dudh


ki nahron ke kinaron par huren
hamein khush-amdid kahne ko betab baithi hain
asfal-us-safilin
sajdon se sar uthe to apne andar jhankna


tum jaan loge
hum se bada na-farman koi nahin
87954 viewsnazmEnglish