be-nur kaenat mein ek kanch ka charagh kafi hai shash-jihat mein ek kanch ka charagh bujhta hai tutta hai ki jalta hai rah mein aandhi hai aur hath mein ek kanch ka charagh teri nazar se jagi hui lau ke faiz se raushan hai meri zat mein ek kanch ka charagh katti hai sakht rah ki khamosh tirgi jalta hai teri baat mein ek kanch ka charagh kahte hain raat bhar koi na-bina shahr mein phirta tha le ke hath mein ek kanch ka charagh taron ki raushni ka zakhira samet kar us ne diya zakat mein ek kanch ka charagh patthar ki sazishon se bacha tha to lut gaya aandhi ki wardat mein ek kanch ka charagh shoalon ke aur kirchiyon ke zakhm tham kar baitha hai meri ghat mein ek kanch ka charagh meri kamin-gah ki dushman ko de khabar shamil hai meri mat mein ek kanch ka charagh sota rahega chain ki ye nind sham tak tha be-qarar raat mein ek kanch ka charagh mil kar mana rahe hain kisi rat-jage ki yaad aankhen hamari sath mein ek kanch ka charagh andhe safar mein sau tarah se kaam aa gaya har khauf se najat mein ek kanch ka charagh