jab suraj ne jate jate ashghabad ke nile ufuq se apne sunahri jam mein dhaali surkhi-e-awwal-e-sham aur ye jam tumhaare samne rakh kar tum se kya kalam kaha parnam uttho aur apne tan ki sej se uth kar ek shirin paigham sabt karo is sham kisi ke nam kanar-e-jam shayad tum ye man gain aur tum ne apne lab-e-gulfam kiye inam kisi ke nam kanar-e-jam ya shayad tum apne tan ki sej pe saj kar thin yun mahw-e-aram ki raste takte takte bujh gai sham-e-jam ashghabad ke nile ufuq par ghaarat ho gai sham evening in ashkabaad