ai sham mehrban ho ai sham-e-shahryaran hum pe bhi mehrban ho dozakhi dopahar sitam ki be-sabab sitam ki dopahar dard-o-ghaiz-o-gham ki be-zaban dard-o-ghaiz-o-gham ki is dozakhi dopahar ke taziyane aaj tan par dhanak ki surat qaus-dar-qaus bat gae hain zakhm sab khul gae hain dagh jaana tha chhat gae hain tere toshe mein kuchh to hoga marham-e-dard ka do-shaala tan ke us ang par udha de dard sab se siwa jahan ho ai sham mehrban ho ai sham-e-shaharyaran hum pe mehrban ho evening, be gracious dozakhi dasht nafraton ke bedard nafraton ke kirchiyan dida-e-hasad ki khas-o-khashak ranjishon ke itni sunsan shahrahen itni gunjaan qatl-gahen jin se aae hain hum guzar kar aabla ban ke har qadam par yun panw kat gae hain raste simat gae hain makhmalen apne baadalon ki aaj panw-tale bichha de shafi-e-karb-e-rah-rawan ho ai sham mehrban ho ai mah-e-shab-e-nigaran ai rafiq-e-dil-figaran is sham ham-zaban ho ai sham mehrban ho ai sham mehrban ho ai sham-e-shaharyaran hum pe mehrban ho o evening, be gracious— o evening of the city of friends be gracious to me. the hellish noon of oppression, senseless cruelties, the noon of pain, rage and sorrow, inarticulate pain, rage and sorrow, the whiplashes of this demonic noon— are all, like the rainbow, branded no my body arc within arc.