mera gham mo'atabar tha takalluf ki qaba noch kar jis ne masum rang-e-atshin bhara tha takhliq ke band jazbon ko akhlaq ke hathon par dhara tha zindagi jis ke liye dar thi ku-e-dildar bhi ruh ki tafsir bhi rang-e-hina ki tanwir bhi bardasht jis ne ki aarzuon ki tazhik bhi muqaddas jazbaat ki tazlil bhi labon par jis ke kitne etaraazat the nihan jis ke dil mein kitne etaraazat the kuchh sutur kuchh sutur ke darmiyan bhi tha kahin tahrik kahin thahraw ka saman bhi tha kahin khwab kahin khwabon ka surat-gar bhi tha hum aur tum jise na jaan sake us ke khwabon ko na pahchan sake