lucknow mere watan mere chaman-zar watan tere gahwara-e-aghosh mein ai jaan-e-bahaar apni duniya-e-hasin dafn kiye jata hun tu ne jis dil ko dhadakne ki ada bakhshi nahin aaj wo dil bhi yahin dafn kiye jata hun dafn hai dekh mera ahd-e-bahaaran tujh mein dafn hai dekh meri ruh-e-gulistan tujh mein meri gul-posh jawan-sal umangon ka suhag meri shadab tamanna ke mahakte hue khwab meri bedar jawani ke firozan mah o sal meri shamon ki malahat meri subhon ka jamal meri mahfil ka fasana meri khalwat ka fusun meri diwangi-e-shauq mera naz-e-junun mere marne ka saliqa mere jine ka shuur mera namus-e-wafa meri mohabbat ka ghurur meri nabzon ka tarannum mere naghmon ki pukar mere sheron ki sajawat mere giton ka singar lucknow apna jahan saunp chala hun tujh ko apna har khwab-e-jawan saunp chala hun tujh ko apna sarmaya-e-jaan saunp chala hun tujh ko lucknow mere watan mere chaman-zar watan ye mere pyar ka madfan hi nahin hai tanha dafn hain is mein mohabbat ke khazane kitne ek unwan mein muzmar hain fasane kitne ek bahan apni rifaqat ki qasam khae hue ek man mar ke bhi sine mein liye man ka gudaz apne bachchon ke ladakpan ko kaleje se lagae apne khilte hue masum shagufon ke liye band aankhon mein bahaaron ke jawan khwab basae ye mere pyar ka madfan hi nahin hai tanha ek sathi bhi tah-e-khak yahan soti hai arsa-e-dahr ki be-rahm kashakash ka shikar jaan de kar bhi zamane se na mane hue haar apne tewar mein wahi azm-e-jawan-sal liye ye mere pyar ka madfan hi nahin hai tanha dekh ek sham-e-sar-e-rah-guzar chalti hai jagmagata hai agar koi nishan-e-manzil zindagi aur bhi kuchh tez qadam chalti hai lucknow mere watan mere chaman-zar watan dekh is khwab-gah-e-naz pe kal mauj-e-saba le ke nau-roz-e-bahaaran ki khabar aaegi surkh phulon ka bade naz se gundhe hue haar kal isi khak pe gul-rang sahar aaegi kal isi khak ke zarron mein sama jaega rang kal mere pyar ki taswir ubhar aaegi ai meri ruh-e-chaman khak-e-lahad se teri aaj bhi mujh ko tere pyar ki bu aati hai zakhm sine ke mahakte hain teri khushbu se wo mahak hai ki meri sans ghuti jati hai mujh se kya baat banaegi zamane ki jafa maut khud aankh milate hue sharmati hai main aur in aankhon se dekhun tujhe paiwand-e-zamin is qadar zulm nahin hae nahin hae nahin koi ai kash bujha de meri aankhon ke diye chhin le mujh se koi kash nigahen meri ai meri sham-e-wafa ai meri manzil ke charagh aaj tarik hui jati hain rahen meri tujh ko roun bhi to kya roun ki in aankhon mein ashk patthar ki tarah jam se gae hain mere zindagi arsa-gah-e-johd-e-musalsal hi sahi ek lamhe ko qadam tham se gae hain mere phir bhi is arsa-gah-e-johd-e-musalsal se mujhe koi aawaz pe aawaz diye jata hai aaj sota hi tujhe chhod ke jaana hoga naz ye bhi gham-e-dauran ka uthana hoga zindagi dekh mujhe hukm-e-safar deti hai ek dil-e-shola-ba-jaan sath liye jata hun har qadam tu ne kabhi azm-e-jawan bakhsha tha! main wahi azm-e-jawan sath liye jata hun chum kar aaj teri khak-e-lahad ke zarre an-ginat phul mohabbat ke chadhata jaun jaane is samt kabhi mera guzar ho ki na ho aakhiri bar gale tujh ko lagata jaun lucknow mere watan mere chaman-zar watan dekh is khak ko aankhon mein basa kar rakhna is amanat ko kaleje se laga kar rakhna