nadi rawan hai upar pul se rail guzarti hai pul se niche subh ka suraj jal-dhaare par jhilmil dhup se sat suron mein nazmen likhta hai chandi chandi retile sahil par tum qadmon se phul khilati ho aur do aankhen is bohrani andhe bahre gunge yug mein surkh zamin ki nam mitti se dasht ki khoi khushbu chunti hain