putli main sharminda hun main ne tere bakhiye tanke ujlat mein tere dhage main ne kas kar bandhe the tere chehre par muskan sajai aur tujhe apni poron par chalwaya jab chaha main ne jaldi ki aur itni jaldi ki jitni shayad tere bas ka rog na tha lekin ab sharminda hun jin hathon se lakh tamashe kar baitha larze larze jate hain ur rasha se aur ab teri umr jawani wali hai teri aankhen phail chuki hain jism bhara hai mitti se aur log bahut manus hain tujh se teri saf rawani se aur harakat harakat phurti se tu bhi ab khush hoti hai jab tujh par aankhen rukti hain log teri jaanib jab hairan hairan ho kar takte hain lekin main sharminda hun mujh se ab ye khel-tamasha aur na hoga mera tera ye dikhlawa aur na hoga aur main tujh mein ruh milane wala hun tujh se apna ye be-qabu jism badalne wala hun