aur jo dastaras mein nahin

jab wo ghusse mein hoti hai to
kuchh bhi kah jati hai

dukh to hota hai par
asal mein mujh ko tashwish rahti hai

is bare jo
us ke honton pe aata nahin

dil mein rah jata hai
dost kitne hain jo

dil mein aane se pahle hi bak dete hain
kahte rahte hain achchhi buri

aur wo dost jo har jagah
baitha rahta hai khamosh

bas sar hilata hai han main
magar kuchh bhi kahta nahin

koi lawa hai is mein ubalta hua
jaanne ka use

kis qadar ishtiyaq hai mujhe
man ki aankhon mein

rahmat ki thandak
mujhe man ke hathon mein

shafqat ki hiddat
mujhe man ke dil mein

duaon ki kasrat
bahut hai yaqinan bahut hai

magar mujh ko wo pyar bhi dekhna hai
jo sattar guna hai

pahadon se lag kar nazar ruk si jati hai
dil un ki haibat se larzan sa rahta hai

par kanpte kanpte bhi
yahi zehn mein gunjta hai

ki us par kya hai
jo aankhon se ojhal hai

bas dekh leta hun main
nazm mein nazm maujud hai

nazm mein nazm ka zikr hai
han magar

nazm se bhi ziyaada mujhe
nazm se mawara nazm ki fikr hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close