hawaen git gati hain

hawaen git gati hain
badalte mausamon ke anginat qisse sunati hain

shajar se zard patton ko gira kar muskuraati hain
hawaen git gati hain

thake haare musafir sham dhalte hi
kisi sahra mein jab apna padaw dal dete hain

to sahra ki hawaen
har musafir ka sandesa le ke aati hain

unhen ja kar sunati hain
jo apne ghar ki chaukhat par

kisi ki rah takte hain
jo aksar sham dhalte hi

charagh-e-dil munderon par jalate hain
kisi ke laut aane ki tamanna mein

bade sadme uthate hain
hawaen be-yaqin un muntazir aankhon ko jab chhu kar guzarti hain

to un mein e'tibar aur aarzuon ke sitare jhilmilati hain
hawaen git gati hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close