mere hathon se meri chita ban gai mere kandhon pe mera janaza utha nok-e-mizhgan se qirtas-ayyam par mere khun se mera nam likkha gaya aur main chup raha mere bazar kuche mere baam-o-dar meri nadariyon se sajae gae mere afkar meri mata-e-hunar meri mahrumiyon se basae gae aur main chup raha meri taqdir ka jo bhi khaka bana pile mausam ke patton pe likkha gaya meri taswir mujh se chhupai gai mujh ko nadida khwabon mein dekha gaya aur main chup raha mere alfaz mani ki talwar se sar-burida hue gungunate rahe mere naghme gadaon mein bante gae barguzida hue gungunate rahe aur main chup raha mujh se meri tamanna ke gul chhin kar zard mausam ne jashn-e-bahaaran kiya barf mere nasheman pe aa ke giri dhup nikli to is ko hirasan kiya aur main chup raha mere sarsabz jangal ujade gae meri jhilon mein ajgar basae gae koh-e-maran ki taqdis luti gai be-hisi ke maqabir sajae gae aur main chup raha