jab halki phulki baaton se naghmon ki tanaben banti thin jab chhote chhote lafzon se afkar ki shamen jalti thin har chehra apna chehra tha har darpan apna darpan tha jo ghar tha hamara hi ghar tha har aangan apna aangan tha jo baat labon tak aati thi wo dil se nahin kar aati thi kanon mein amrit bharti thi aur dil ko chhukar jati thi wo waqt bahut hi pyara tha wo lamhe kitne mithe the jis waqt ki ujli rahon par aaghaz to hai anjam nahin jis waqt ki ujli rahon par aaghaz to hai anjam nahin wo waqt kahan ru-posh hua jis waqt ka koi nam nahin