aur mere aas-pas KHwab ki kaifiyat hai

sare aasman par baadal chhae hain
mujhe apna ghar bhul gaya hai

main ghar se bahar zarurat ki koi chiz lene ke liye nikla tha
ghar se bahar nikalne ke ba'd mujhe apna ghar bhul gaya hai

ab main use talash kar raha hun
samajh mein nahin aata use kaise talash karun

ikka-dukka koi darakht
kabhi kabhi kahin kahin koi shanasa chehra

aur dur-daraaz mein kahin koi manus imarat
samajh mein nahin aata

aise na-mukammal nishanon ki marifat apne ghar tak kaise pahunchunga
mere aas-pas khwab ki kaifiyat hai

aur mera dil ghar wapas jaane ko chahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close