baad muddat chale aae kaise idhar aaj kis tarah mera khayal aa gaya thahro ruk jao rishta hai kuchh mujh se bhi kuchh dinon ka nahin rabt-e-derina hai naqsh-e-pa main tumhaare liye baitha hun raaz sine mein hai lab siye baitha hun aise guzre ho pahchante hi nahin tum to jaise mujhe jaante hi nahin ruk gaya aur kuchh soch kar kho gaya dur apne tasawwur se bhi ho gaya bhuli-bisri hui raat yaad aa gai bite lamhon ki har baat yaad aa gai kis ke hamrah aaya tha is mod par kaun sath pane laya tha is mod par han yahin teri zulfon ka saya mila han yahin aarzuon ka ghuncha khila han yahin dil ki dhadkan hui thi jawan han yahin to mile the zamin aasman ab main is mod se kya kahun? tu bata puchhta hai wo saya kahan rah gaya