raat gae tak ghael naghme karte hain elan yahan ye duniya hai sang-dilon ki koi nahin insan yahan izzat walon ki zillat ka sab se bada bazar hai ye chukte hain ghairat ke saude bikte hain iman yahan bhik mein bhi mango to koi pyar na dale jholi mein bin mange mil jate hain ruswai ke saman yahan zar-daron ko naghmon mein jab jism dikhai deta hai ek mahakti sej pe akasr tutti hai har tan yahan mamta ke honton par jab chandi ki mohren lagti hain man khud apni beti ko kar deti hai qurban yahan apna khun hi badh kar apne khun ki boli deta hai kis ne kis par hath badhaya koi nahin pahchan yahan pap ke is mandir mein kya kya bhaw batae ram-jani sham dhale jab aan birajen sone ke bhagwan yahan raat gae tak jage sanwli kale choron ki khatir aur agar inkar kare kahlae na-farman yahan jhilmil karti poshakon se chahe badbu aati ho khud jal kar mahfil ko khushbu deta hai loban yahan